Tuesday 27 September 2016

JEEVAN ME SAFAL HONE KE LIYE KYA KARE....

Jeevan me kai  aise chad ate hai jisase nakartmkta hamare ander na chahte hue bhi pravesh kar jati h, jaise kisi apne ki asamay mrityu, koi asadya bimari jo paisa aur samay dono nast kar deti h, bar bar athak prayas karne ke bad bhi naukari na milna ya vyapar me ghata hona.
            Jab hum nakartmkta se gujarane lagate hai to apne kiye huye her prayas me asafal hote jate hai. Aise me kewal hamare sakaratmak vichar hi hamko aisi paristiti se bahar nikal sakte h. Pratyek vyakti ke jeevan me pareshaniya ati h, parntu samay ke sath dheere dheere sabhi samsyao ka samadhan milata jata h. Aise samay me jaroori hai ki hum apne apko kisi rachnatmak karya me jisame hamari ruchi ho , vyast rakhe.
           Hum apne ap ko majboot banaye, jeevan ka ek lakshya banaye aur usko prapt karne hetu parishram kare. Apne bahumoolya samay ko phaltoo me na barbad kare. Sakaratmak dritikod rakhate hue apne jeevan ke mahatv ko samjhe.
            
          Kai log apne jeevan ki tulana doosaro se karte hai aur apne jeevan ko pareshaniyo se gheera hua pate h. Bahar nikalne per hum dekhate hai ki na jane kitane log humse bhi jyada pareshan aur sadhan vihin h, per ve khush h.

              Jo beet gaya usaki chinta kya karna aur jis bhavishya ka koi nishchay hi nahi h usake liye pareshan hokar apne aj ko dukhi kyu karna.  Jo hai usi me khush rahne ki koshish kare aur santust rahe.

                Bhautik bastuo se apne khushiyo ko na anke, Rishto ko banaye. Pratyek vayakti me kuch na kuch acchaiya jaroor hoti h, un acchaiyo ko dhoondhe aur sacche dil se unki tareef kare. Unki buraiyo ko najar andaj kare aur apne sage sambandhi aur mitro ki har sambhav madad kare aur unke sath khush rahne ki koshish kare.
                Apne sehat ka bhi khyal rakhe .  Santulit aahar le, vyayam aur yog kare, apna manpasand sangeet sune, thoda samay apne liye nikale aur apne shaukh poore kare tatha apne ap ko khush rakhe.
             Jab hum apne ap me uprukt parivartan karenge to hum payenge ki hum dheere dheere safalta ki seedhi per chadate jayenge.